Movie: Anpadh
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan
Lyricist: Raja Mehdi Ali Khan
---
Aapki nazron ne samjha, pyar ke kaabil mujhe
Dil ki ai dhadkan thahar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha...
Jee hamein manzoor hai, aapka ye faisla
Keh rahi hai har nazar, banda-parwar shukriya
Hans ke apni zindagi mein, kar liya shaamil mujhe
Dil ki ai dhadkan thahar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha...
Aapki manzil hoon main, meri manzil aap hain
Kyun main toofaan se daroon, mera saahil aap hain
Koi toofanon se keh de, mil gaya saahil mujhe
Dil ki ai dhadkan thahar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha...
Pad gayi dil par mere, aapki parchhaiyaan
Har taraf bajne lagi, saikdon shehnaiyaan
Do jahaan ki aaj khushiyaan, ho gayin haasil mujhe
Dil ki ai dhadkan thahar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha, pyar ke kaabil mujhe
Dil ki ai dhadkan thahar ja, mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha...